शुक्रवार, 4 दिसंबर 2015

Yoga Ke Fayde

Yoga Ke Fayde

Yoga ke jab tak apko fayde pata nahi honge tab tak shayad hi koi yog karega. Purane samay me log lambi ayu tak jite the, jiska mukhya karan tha niyantrit bhojan aur yoga. Ap chahe kisi bhi umra ke kyo na ho, yoga apke sharir ko labh pradan karega. Ajkal ho rahe sodh ke anusar yoga kai badi-badi biariyo jaise cancerdiabetes aur motapa me labhdayak bataya gaya hai. Aiye jante hai hamare sharir par yoga se hone wale fayde

Yoga Ke Swasthya Labh (Health Benefits of Yoga in Hindi)


Nirog Banayega Yoga
Sharir me hone wali bimariyo ka mukhya karan hota hai aniyantrit khan-pan aur tanav (stress). Lambi umra pane ke liye sharir ko mansik aur sharirik rup se fit hona jaruri hota hai, yadi ap khush hai, tanav rahit hai to ap hamesha swasth rahenge. Isliye sharir ko tanav rahit karne ke liye yoga apki kafi madad karega.

Ghataye Vajan
Vajan kam karne ke liye hum na jane kitne upay karte hai. Lekin vajan badne ka mukhya karan hota hai sharir me extra fats aur calorie ka badna. Aise me yoga kriyaye jaise kapalbhati aur surya namaskar ke dwara ap apne sharir se motapa kam kar sakte hai.

Sharir Ko Lachila Banata hai
Yoga ki positions ko rojana karne se sharir me lachilapan ata hai aur maspesiya majbut hoti hai. Yoga hamare sharir ko sahi akar deta hai aur ise sundar banata hai. Hal hi me huye sodh ke anusar rojana yoga karne wale logo ki immunity power yoga na karne wale logo se adhik hoti hai.
Tanav (Stress) Dur Karta Hai
Hamare sharir me jyadatar bimariya mansik tanav (stress) ke karan ke karan hoti hai. Yaga tanav (stress) ko dur karne ka sabse asan aur natual tarika hai. Rojana meditation kare aur apne sharir se tanav ko dur kare.

Sharir Ki Immunity Power Ko Badata Hai
Yoga hamare sharir me kai bimariya hone se rokta hai, iska mukhya karan hai yoga ke jariye immunity power ka badna. Yoga karne se sharir me blood circulation niyantrit rup se kaam karta hai jisse immunity power badti hai.

Mun Ke Concentration Power Ko Badata Hai
Kisi kaam me mun na lagna jyadatar logo ki samasya hoti hai. Yadi mun ko kabu na kiya jaye to yeh hamara enemy ban jata hai. Chahe koi bhi kaam ho, ghar ka ya office yadi hamara mun bekabu hai to hum us kaam me apna 100% nahi de pate, isliye apne rojana ke kamo me mun ko concentrate karna bahut jaruri hota hai. Yoga me kiya jane wala meditation mun ko ekarg karne me ek aham bhumika nibhata hai.

Badaye Kaam Karne Ki Ability Ko
Rojana subah 20 se 30 minute tak yoga karne se hamare sharir ki kaam karne ki ability badti hai aur sharir ke alasya (laziness) se chhutkara milta hai. Roj anulom-vilom karke dekhe, apko ek nayi urja ka ehsas hoga aur apne kaam ki gati me teji mehsus karenge.