सोमवार, 6 जून 2016

Surya Namaskar Kaise Kare :-

Surya Namaskar Kaise Kare :-


Surya Namaskar Kaise Kare

Aaj hum janenge ki Surya Namaskar Kaise Kare, Surya Namaskar Ke Kya Fayde He. Surya Namaskar purane jamane se hi ek behtar tarika mana gaya he body ko fit rakhne ke liye. Chaliye Padhte He Surya Namaskar Kaise Kare.


Surya Namaskar (Sun Salutation) 
  • Surya Namaskar ek bahot hi saral aur jyada fayde dene wala sarvashreshtha yogasan hai.
  • Sharir, dimag aur shwasan prakriya ko sampurna (integrate) karne ke liye bahot prabhavi hai.
  • Sabhi maans peshi (muscles) ka khinchav, sikodana kam karta hai aur use majbut banata hai aur sundarta me nikhar aata hai.
  • Ankhon ki roshani badti hai.
  • Surya namaskar se wajan bhi ghataya ja sakta hai. Mote ligon ki liye ye prabhavi upay hai.
  • Kamar dard aur twacha rog ko bhi mitane ka kam Surya Namaskar karta hai.
  • Pachan prakriya bhi achchese kam karti hai aur isse aap apne ek ek rog ko dhire dhire karke kam kar sakte hai.
Aap Surya Namaskar sirf 8 mudra (step) me kar sakte hai lekin shuru se aakhir tak ye 12 mudra me hai. Aap ise bahot hi aasani se sikh sakte hai bas niche likhe anusaar kijiye aur swasth rahe.
Step 1: Pranamasana (Prayer pose)
Shuruati mudra me dono haato ko jodkar sidhe khade rahiye, najar samne aur dimag shant. Dono pairon me thodasa anter (distance) rakhiye.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 1
Surya Namaskar Kaise Kare Position 1
Step 2: Hastauttanasana (Raised Arms pose)
Saans lete hue apne dono haaton ko dhire dhire uper ki aur le jaakar piche ki aur jhuke.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 2
Surya Namaskar Kaise Kare Position 2
Step 3: Hasta Padasana (Hand to Foot pose)
Phir saans ko dhire se chodte hue sidha age ki taraf jhukte hue pairon ke anguthe ko chune ki aur sir ghutne ko chune ki koshish kare. Is douran aapke haath sidhe hone chahiye aur ghutne ko bhi siddha rakhe.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 3
Surya Namaskar Kaise Kare Position 3
Step 4: Ashwa Sanchalanasana (Equestrian pose)
Isi mudra me apne daae pair ko piche ki aur le jaye aur baya pair apne aap apki chaati ko lagte hue uper asmaan ki aur dekhiye. Is dauran aapke dono hath pairon ko pas jamin ko chipke hue hone chahiye.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 4
Surya Namaskar Kaise Kare Position 4
Step 5: Dandasana (Stick pose)
Ab saans ko dheere se chodte hue dusra pair bhi piche ki aur le jakar dono pairon ki ediyon ko aapas me jode aur sirf anguthe ko jamin par hone de saath hi sharir ko bhi piche ki aur khichiye. Is dauran bhi haath aur pair mudne nahi chahiye sidhe rakhe aur apne pet aur dekhe(Isse apki garden par jor padega).
Surya Namaskar Kaise Kare Position 5
Surya Namaskar Kaise Kare Position 5
Step 6: Ashtanga Namaskara (Salute With Eight Parts Or Points)
Ab Aapko jamin par is tarah se letna hai jisse apke sharir ke 8 ang jamin ko chue (Dono pair, dono haath, dono ghutne, chati aur naak). Kamar ke niche ka bhag thoda upar ho. Yaad rakhe is mudra me saans ko rok kar rkhe.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 6
Surya Namaskar Kaise Kare Position 6
Step 7: Bhujangasana (Cobra pose)
Ab apne haatho aur pairon ki jagah ko na badalte hue aasman ki aur dekhna he saath hi pairon ke panjon ko bhi dhikhana hai.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 7
Surya Namaskar Kaise Kare Position 7
Step 8: Parvatasana (Mountain pose)
Yahan par aapko phir se mudra 5 banani he bina haath aur pair hilaye. Saath hi saans bhi na chode.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 8
Surya Namaskar Kaise Kare Position 8
Step 9: Ashwa Sanchalanasana (Equestrian pose)
Ab Aapko vapas mudra 4 me aana he. Uske liye apna daya pair aage haathon ki aur laye baaya pair na hilate hue aur thodi saans le.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 9
Surya Namaskar Kaise Kare Position 9
Step 10: Hasta Padasana (Hand to Foot pose)
Ab Aapko mudra 3 me jaisa karna he. Is liye apna dusra pair bhi pahle pair ke pass laye aur jitna jhuk sakte ho jhuke. Haath jamin par aur sir ghutne ko chune ki koshish kare. Is douran aapke haath sidhe hone chahiye aur ghutne ko bhi siddha rakhe.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 10
Surya Namaskar Kaise Kare Position 10
Step 11: Hastauttanasana (Raised Arms pose)
Is mudra me dheere se apne haathon ko uper se kaano ko chute hue piche le jate hue aasman ko dhikaye.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 11
Surya Namaskar Kaise Kare Position 11
Step 12: Akhari Mudra
Yah aakhari mudra hai, isme apko vapas mudra 1 jaisa karna hai. Ane haath jodkar siddha khade rahe.
Surya Namaskar Kaise Kare Position 12
Surya Namaskar Kaise Kare Position 12
Yah hua ek purn Surya Namaskar. Aise shuruaati din me agar aap 10-10 bhi karte ho to bhi bahot he. Phir 1 ya 2 hafton me Badhate rahe, aap tandrust aur furtile mahsus karenge. Yaad rakhe apne saath apne rishtedaro aur doston ko bhi ye khubsurat article dikhye aur share kare. Taki wo bhi ek tandurust aur furtile sharir ko pa sake.
Ye Article Kaisa Laga, Niche Comment Kijiye, Kuch Puchna Ho to comment me puch sakte ho.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें