शुक्रवार, 4 दिसंबर 2015

Kali Chay (Black Tea) Ke Fayde

Kali Chay (Black Tea) Ke Fayde

Black Tea Ke Fayde
Black tea me maujud gun vajan kam karne me madad karte hai kyonki black tea me na to chini hoti hai na hi dudh.

Jyadatar log chay lene se parhej karne lage hai lekin research ke anusar din me 3 cup chay ka sewan karne se heart attack ka 60 % khatra kam ho jata hai.

Vaise to kaha jata hai ki tea sehat ke liye hanikarak hoti hai. Lekin hal hi me huye ek sodh ne is baat ko bataya hai ki black tea sehat ke liye behad faydemand hai yeh apko kai bimariyo se bacha sakti hai. Black tea me caffeine ki matra kafi hoti hai, jisse sharir me khoon ka circulation niyantrit hota hai. Black tea me fluoride bhi hota hai jo haddiyo (bone) aur mukh (mouth) ke rogo ko dur karne me faydemand hota hai.

Daily express news paper ke anusar sodhkartayo ka kahna hai ki kali chay (black te) me maujud antioxidant tatv dil ki bimariyo ko rokne aur heart attack ke khatre ko rokne me behad labhdayak hai. Black tea khoon ko gada banne se rokti hai jis wajah se arteries me khoon ka thakka jamne se rukta hai. Yeh naso me khoon ke prabhav ko saral banati hai jis wajah se ukt raktchap (high blood pressure) bhi niyantrit rahta hai.
Nutrition Bulletin me prakashit huye is sodh me yeh bhi bataya gaya hai ki black tea kai rogo ki rokdham karti hai.
Black tea madhumeh (diabetes) ke khatre se bhi bachati hai. Yeh type 2 ke diabetes ke khatre ko khatm karti hai. Abhi is baat ka sodh hona baki hai ki kitni matra me insan black tea ka sewan kare. Abhi tak to roj 3 cup black tea pina apke dil ke liye faydemand hai.

Yeh apki body ki metabolism bhi badati hai. Black tea pine se aap 70 se 80 extra calorie ko jala sakte hai. Isliye isse motapa niyantrit rahta hai.

Black tea ke sewan se ap sirdard jaise gambhir rog se bhi nijat pa sakte hai. Black tea me thoda nimbu (lemon) ko nichodkar pine se sir dard thik hota hai.