बुधवार, 13 जुलाई 2016

Mushroom Ki Kheti Kaise Kare – Jankari Hindi Me

Mushroom Ki Kheti Kaise Kare –

 Jankari Hindi Me:-

Mushroom Ki Kheti Kaise Kare

Mushroom woh sabzi hai jo protein se bharpur hoti hai. Iskay andar resha aur folic amla bhi hote hain jo swasthya ke liye bhaut labhdayak hote hain. Isliye sehat ke liye mushroom ko kahna bahut labhprad hota hai. Yahi karan hai ki mushroom aaj kal bahut lokpriya ho rahe hain aur bazar mein inka karobaar badh gaya hai. Isliye hi mushroom ki kheti aaj fayde ka karya hoti jaa rahi hai. Aaiye jaane ki Mushroom Ki Kheti Kaise Kare Hindi Me.


Mushroom Ki Kheti Kaise Kare
                                                    mushroom image

 Mushroom ugane ke liye mausam ka chayan

Bharat mein mushroom ko ugane ke liye aisa mausam chunyen jismen bahut ahik sardi nahin ho. Yani mushroom thand ke mausam mein nahin ugay jaate hain. Isliye mushroom ki kheti karne ke liye sahi mausam May se september hai. Mushroom ki fasal ko nami yukta vatavaran ki bhi zaroorat hoti hai jo in mahino mein milta hai. Mushroom ke liye vatavran mein 90 partishat tak nami acchi rahti hai. Mushroom ko bahar ya kamre ke andar dono hi jagah lagaya jaa sakta hai.

Mushroom ki kheti ke liye kyarion ki tayyari

Mushroom ki kheti ke liye etoan ya mitti ki kyariyan banai jaati hain. Yeh kyariyan 3 foot lambi, 1 foot chaudi aur 7 inch unchi hoti hain. In par seedhi dhoop ya barsaat nahin aaye iskay liye inke upar shade bana diya jaata hai. In kyariyon mein baans ke sahare dhan ki puaal rakhi jaati hai jis par mushroom ki kheti ki jaati hai. In dhaan ke puaalon ko pani mein dal diya jaata hai aur 12 se 16 ghanton tak bheegne diya jaata hai. Iskay baad unhen farsh par rakhkar unsay atirikt pani nikal diya jata hai.

Mushroom ko kaise boyen

Mushroom ke beej ko span kehte hain. Yeh bazaar se prapt kiye jaa sakte hai. Mushroom ke beejon ko bone ke liye pehle se banai gayi mitti ki panktiyon ya kyarion mein baans ke dhaanche rakhkar unke upar dhaan ke puaal ka gattha rakhen. Sabhi gathron ke siron ko baans se ek aur se baandh den. Ab is parat par mushroom ke beej bikher den. Beejon ke upar dhan ya gehun ki bhusi ya chane ka besan thodi si matra mein bikher den. Is pehli parat ke upar hi is tarah hi doosri, teesri aur chauthi parat banayen aur is dher ko kisis pardarshi plastic se dhak den.

Mushroom  bone ke anya tarike

Yadi apke paas jagah kam hai to aap mushroom ko ek sidhi lambi jagah mein bhi uga sakte hain. Iska liye apko us jagah par rassi tangni padengi aur un rassiyon ke sahare apko thodi thodi jagsh chodkar dhan ki puaal ke gathre raknhe honge aur un par mushroom ke beej dalne honge. Is prakar mushroom ek seedhi lambai rassi ke sahare tange dhan ke puaal par ugenge. Iskay alaawa mushroom ko kamre ke andar bhi ugaya ja sakta hai. Ismay dhan ke puaal ko kamre mein rakhkar farsh aur deewaron par pani chidka jaata hai. Kamre ka taapmaan 34 se 38 degree celcius rakha jaata hai aur kamre ke andar nami ki matra 80 se 85 pratishat rakhi jaati hai. kamre ko 4-5 dinon ke liye band hi rakha jata hai.

Mushroom ki sinchai

Mushroom bone ke 7-8 din baad is pure puaal ko 35 degree tapmaan ke aas paas rakhen. Jab mushroom ugane lagen to unke upar se plastic ki chadar hata den aur yadi puaal sukha lage to us par halka pani chdak den.  Mushroom ke beej bone ke lagbhag 3 saptah baad acche vikasit mushroom dikhne lagenge.

Mushroom ki tayyar fasal

Jab muhroom ka upari sira jise jhilli bhi kehte hain fatne lage to smajh lena chahiye ki mushroom ki fasal tyyar ho gai hai aur usay nikala jaa sakta hai. Tab mushroomon ko to lena chahiye. Mushroom ki fasal lagbhag 12 dinon tak tyyar hoti rahti hai. 25 kilogram  geele pual mein lagbhag 4 kilogram mushroom prapt hote hain. Mushroom ke kheti ke liye banayi gayi kyaariyon mein se pratyek kyaari mein se 2 kilogram tak mushroom prapt ho jaate hain. Mushroom ki fasal bahut nazuk hoti hai aur inka bhandarn 2-3 dino ke liye hi kiya jaat hai.
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas www.dkjeducation.blogspot.com par jaye. 

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें