शुक्रवार, 4 दिसंबर 2015

Vajan Kam Karne Me Amla Ka Prayog

Vajan Kam Karne Me Amla Ka Prayog

Vajan Kam Karne Me Amla Ka Prayog
Amla ka sewan karna sehat ke liye labhdayak mana gaya hai. Kaha jata hai roj ek amla khane se insan ki sehat kharab nahi hoti aur kabhi bukhar (fever) nahi padta. Amle me vitamin C ki matra adhik hoti hai. Anto oxidant hone ki wajah se amla sharir me kisi tarah ki pareshani ko nahi ane deta. Kya ap jante hai amle ke aise gun jo vajan ghatane me apki madad kar sakte hai. Aiye jante hai vajan kam karne me amla ke fayde

Vajan Kam Karne Me Amla Ke Fayde (Amla Benefits for Obesity in hindi)


Banaye Amle Ka Juice
Kaccha amla khane me kadva aur behad khatta hota hai, jisse danto me bhi ek pal ke liye sirhan aa jati hai. Isliye aap amle ka ras banakar thandi jagah par rakh le. Daily 3 se 4 dino tak pani ke sath amle ke juice ko milakar sewan kare. Yaad rakhe amle ke juice 4 din se adhik na rakhe. 4 din baad fir se amle ka juice banakar rakh le aur sewan kare. Kuchh hi dino me apko apne sharir me fark dikhne lagega.

Charbi Kam Karta Hai (Reduce Body Fat)
Amle me maujud gun sharir ke metabolism ko thik banakar rakhte hai, jis wajah se sharir me maujud atyadhik charbi kam hoti jati hai. Amle me minerals aur protein ki sahi matra hoti hai, isliye vajan ghatane me yeh behad faydemand hota hai. Amla pet (stomach) sambandhi bimariyo jaise kabj (constipation) aur pet dard (stomach pain) ko dur karta hai.

Read: Sharir Ko Patla (Slim) Banane Ke Tarike

Amle Ka Fal
Yadi aap roj subah kaccha amla khaye to apke sharir me fiber ki matra badegi aur vajan kam hoga. Roj subah niyam se1 kaccha amla subah khali pe khaye

Sukhe Amle Ka Prayog
Amla pure saal nahi milta hai lekin aap amle ko sukhakar bhi prayog me laa sakte ho. Aap sukhe amlo ko sugar ki chashni me dalkar bhi sewan kar sakte hai.

Murabbe Ka Prayog
Amle ka murabba vajan control karne me aham bhumika nibhata hai. Isliye aap amle ke murabbe ka prayog bhi kar sakte ho.

Read : Motapa (Obesity) Kam Karne Ke Gharelu Upay

Amle Ka Powder
Yadi aap kaccha amla nahi le sakte ho to amle ka churn apko asani se bajar me mil jata hai. Aap churn ka prayog usme diye gaye niyamo hishab se kar sakte ho.

Amla prakriti ka anmol taufa hai, jo apki sehat ke liye behad faydemand hai. Yadi amla aap apni diet me shamil karenge to aap kabhi motapa ke shikar nahi hoyenge aur apka vajan hamesha niyantrit rahega. Amle me maujud gun apki atyadhik charbi ko to kam karte hi hai sath hi apko skin sambandhi bimariyo se bhi bachate hai.