शुक्रवार, 4 दिसंबर 2015

Aloe Vera Ke Fayde

Aloe Vera Ke Fayde

Aloe Vera Ke Fayde
Aloe vera ko gwarpatha bhi kaha jata hai. Sadharan sa dikhne wala paudha kitna fayda pahuncha sakta hai shayad apne socha bhi nahi hoga. Ayurved me aloe vera ke aise guno ka varnan kiya gaya hai joasthma, khansi (cough), gas ki samasya, pathri, sanso ki samasya jaise kai bimariyo ko thik kar sakta hai. Iske liye apko yeh pata hona chahiye ki aloe vera ka sewan kis tarah se kiya jaye aur kitni matra me. Hum apke liye laye hai prachin ayurved me chipe aloe vera ke anokhe prayog jo apko banayenge kai bimariyo ke mukt aur swasth. Aloe vera ka paudha kantedar hota hai, jiske kinare patle hote hai. Aloe vera se nikalne wala gooda hi asli aushdhi hoti hai.

Aloe Vera Ke Swasthya Ke Liye Proyog (Health Benefits of Aloe Vera in Hindi)


  • Piliya (jaundice) se grasit rogi ke liye aloe vera ek kargar medicine hai. 15 gm aloe vera ka ras subah sham piye. Apko is rog me fayda milega. 
  • Mutra (urine) sambandhi rog ho ya gurdo ki samasya ho to aloe vera ka sewan labhkari hai.
  • Aloe vera ka gooda (aloe vera pulp) ko chehre par lagane se chehra sundar aur chamakdar ban jata hai. Yeh purnrup se prakritik cream hai.
  • Yadi sir me dard (headache) ho to aap haldi (turmeric) me 10 gm aloe vera sir milakar sir par iska lep lagaye. Aisa karne se sirdard me rahat milti hai aur tajgi ka ahsas hota hai.
  • Aloe vera motapa (obesity) kam karne me fayda karta hai. 10 gm aloe vera ke ras me methi (fenugreek) k taje patto ko piskar milaye aur pratidin iska sewan kare.
  • Aloe vera ek tarah ka prakritik conditioner hai. Aloe vera ko balo par 20 minute tak lagaye rakhe aur fir pani se dho le. Yeh balo ko sundar, ghana aur akarshak banata hai.
  • Chehre ki jhurriyo ko dur karne me aap aloe vera ka pulp kacche dudh ke sath milakar chehre par male.

  • Kabj (Constipation) ki samasya se pareshan hai to 10 gm aloe vera ke ras me 10 gm karela ka ras (bitter gourd juice) ko milakar kuchh dino tak sewan kare, diabetes me rahat milegi.
  • Madhumeh (diabetes) ki samasya hone par 20 gm amla ke ras (amla juice) ko 10 gm aloe vera ke pulp ke sath milakar rojana subah sewan kare.
  • Aag jalne par (fire burn) aloe vera ka pulp jali hue ang lagaye, apko jalan se rahat milegi aur ghav jaldi thik ho jayega.
  • Sardi, jukam ya khansi hone par shahad (honey) me 5 gm aloe vera ke taje ras ko milakar sewan kare. Apko labh milega.
  • Sharir me calcium ki kami ho to aloe ke juice ka sewan rojana kare.
  • Bawasir (piles) me yadi khoon jyada behta ho to aloe vera ke patto ka sewan 25-25 gm ki matra me subah-sham karte rahe. Bavasir ke masse (piles warts) khatm karne ke liye aloe vera ke pulp me neem ki pattiyo ko jalakar uski rakh mila le aur paste banakar masso par lagaye.
  • Khujli (itching), muhase aur funsi hone par daily 10 se 15 gm aloe vera ka juice pina chahiye. Yeh khoon ko suddh karta hai chehre se muhaso ko hata deta hai.
  • Daad (ringworm) hone par 10 gm anar ke ras (pomegranate juice) me 10 gm aloe vera ka ras milakar daad wali jagah par lagaye.
  • Pet Sambandhi Bimariyo (stomach problems) me ap 20 gm aloe vera ke ras me shahad (honey) aur nimbu (lemon) milakar uska sewan kare. Yeh pet ki bimari ko dur karta hi hai sath hi pachan shakti (digestive system) ko bhi badata hai.

Aloe vera swasthya ke liye kafi faydemand paudha hai, isliye ap ise apne garden me jarur lagaye.